Sun sahiba sun pyaar ki dhun - 2 Oh, maine tujhe chun liya, tu bhi mujhe chun Sun sun sahiba sun pyaar ki dhun Oh, maine tujhe chun liya, tu bhi mujhe chun Koi haseena kadam pehle badhaati nahin Majboor dil se na ho to paas aati nahin Ho, majboor dil se na ho to paas aati nahin Khushi mere dil ko had se zyaada hai Tere sang zindagi bitaane ka iraada hai Oh, preet ke yeh dhaage tu bhi sang mere gun Tu jo haan kahe to ban jaaye baat yeh Hote na ishaara to chal doon main saath bhi - 2 Tere liye sahiba naachoongi main gaaoongi Dil mein basa le tera ghar bhi basaaoongi Oh, daal de nigaahon kar de pyaar ka shagun Mera hi khoon-e-jigar dega gawahi meri Tere hi haathon likhi shaayad tabaahi meri(2) Dil tujhpe waara hai, jaan tujhpe waaroongi Aaye ke na aaye, tera rasta nihaaroongi Oh, kar le kubul mujhe hoga bada pun Sun sahiba sun pyaar ki dhun Oh, maine tujhe chun liya, tu bhi mujhe chun --- Chandan saa badan chanchal chitawan Dheere se teraa ye musakaanaa Muze dosh naa denaa jagawaalon Ho jaaye agar dil deewaanaa Ye wishaal nayan jaise neel gagan Panchhee kee tarah kho jaaoo main Sirahaanaa jo ho teree baahon kaa Angaaro pe so jaaoo mai Meraa bairaagee man dol gayaa Dekhee jo adaa teree mastaanaa Tan bhee sundar, man bhee sundar Too sundarataa kee murat hai Kisee aaur ko shaayad kam hogee Muze teree bahot jarurat hai Pahale bhee bahot dil tarasaa hai Too aaur naa dil ko tarasaanaa ----- Likhe jo khat tujhe, woh teri yaad mein…… hazaaron rang ke… nazaare ban gaye Sawera jab huya, to phool ban gaye…….jo raat aayi to……sitaare ban gaye Koyi nagma kahin goonja Kahan dil mein Yeh tu aayi Kahin chatki kali koyi Main yeh samjha, tu sharmaayi Koyi khushboo kahin bikhri Laga yeh zulf lehraayi Likhe jo khat tujhe... Fiza rangeen, adaa rangeen Yeh ithlaana, yeh sharmaana Yeh angdhaayi, yeh tanhaayi Yeh tarsa kar, chale jaana Bana de ga nahi kisko Jawaan jadoo yeh deewana Likhe jo khat tujhe.. Jahan tu hai, wahan main hoon Mere dil ki tu dhadhkan hai Musafir main tu manzil hai Main pyaasa hoon tu saawan hai Meri duniya yeh nazre hain Meri jannat yeh daaman hai Likhe jo khat tujhe... ---- Neele neele anbar par chaand jab aaye, pyaar barasaaye, hum ko tarasaaye Ayesaa koee saathee ho, ayesaa koee paremee ho, pyaas dil kee buzaa jaaye Unche unche parabat jab chumate hain anbar ko, pyaasaa pyaasaa anbar jab chumataa hain saagar ko… ..pyaar se kasane ko, baahon mein basane ko, dil meraa lalachaaye, koee to aa jaaye Ayesaa koee saathee ho, ayesaa koee paremee ho, pyaas dil kee buzaa jaaye Thhande thhande zonke jab baalon ko sahalaaye, tapatee tapatee kirane jab gaalon ko chhoo jaaye…… saanson kee gamree ko, haathon kee namree ko, meraa man tarasaaye, koee too chhoo jaaye Ayesaa koee saathee ho, ayesaa koee paremee ho, pyaas dil kee buzaa jaaye Chhamachham karataa saawan boondo ke baan chalaaye, satarangee barasaaton mein jab tanaman bheegaa jaaye.. …pyaar mein nahaane ko, doob hee jaane ko, dil meraa tadapaaye, khwaab jagaa jaaye Ayesaa koee saathee ho, ayesaa koee paremee ho, pyaas dil kee buzaa jaaye --- In aankhon ki masti ke, aah aah aah aah In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain…. Mastaane hazaaron hain In aankhon se vaabasta….. In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain… afsaane hazaaron hain In aankhon ki masti ke Ek tum hi nahin tanha, aah aah Ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri rusva…. Ulfat mein meri rusva Is shaher mein tum jaise Is shaher mein tum jaise deewaane hazaaron hain…. Deewaane hazaaron hain In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain …. In aankhon ki masti ke, aah aah aah Ek sirf humi mai ko, ek sirf humi Ek sirf humi mai ko aankhon se pilaate hain… aankhon se pilaate hain Kehne ko to duniya mein, kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain Maikhaane hazaaron hain In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain In aankhon ki masti ke Is shamm-e-faroza ko, aah aah Is shamm-e-faroza ko aandhi se darraate ho… aandhi se darraate ho Is shamm-e-faroza ke, is shamm-e-faroza ke parvaane hazaaron hain Parvaane hazaaron hain In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain Afsaane hazaaron hain, in aankhon ki masti ke Aa aa aa aa, aa aa aa Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye - 2 Bas ek baar mera kaha Bas ek baar mera kaha maan lijiye - 2 Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye Is anjuman mein aap ko Is anjuman mein, aah, aah aah aah Is anjuman mein aap ko Is anjuman mein aap ko aana hai baar baar Aana hai baar baar Deevaar-o-dar ko gaur se Deevaar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye - 2 Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye Maana ke doston ko nahin Doston, doston ko nahin Maana ke doston ko nahin dosti ka paas Lekin yeh kya ke gair ka Lekin yeh kya ke gair ka ehsaan lijiye - 2 Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye Kahiye to Kahiye to aasmaan ko Kahiye to aasmaan ko zameen par utaar laaye Mushkil nahin hai kuch bhi Mushkil nahin hai kuch bhi agar thaan lijiye - 2 Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye Bas ek baar, bas ek baar Bas ek baar mera kaha maan lijiye Maan lijiye, maan lijiye ---- Itanee shaktee humei denaa daataa, man kaa wishwaas kamajor ho naa Hum chale nek raste pe hum se, bhoolakar bhee koee bhool ho naa Har taraf julm hain, bebasee hain, sahumaa sahumaa saa har aadamee hain Paap kaa boz badhataa hee jaaye, jaane kaise ye dharatee thamee hain Boz mamataa se too ye uthhaa le, teree rachanaa kaa hee ant ho naa Hum andhere mein hain roshanee de, kho naa de khud ko hee dushmanee se Hum sajaa paaye apane kiye kee, maut bhee ho to sah le khushee se Kal jo gujaraa hain fir se naa gujare, aanewaalaa wo kal ayesaa ho naa Chaudvin ka chand ho, ya aaftaab ho Jo bhi ho tum khuda ki kasam, lajawab ho Zulfein hain jaise kaandhe pe baadal jhuke hue Aankhen hain jaise maey ke pyaale bhare hue Masti hai jisme pyaar ki tum, woh sharaab ho Chaudvin ka chand ho ... Chehra hai jaise jheel mein khilta hua kanwal Ya zindagi ke saaz pe chhedi hui ghazal Jaane bahaar tum kisi shaayar ka khwaab ho Chaudvin ka chand ho ... Hothon pe khelti hain tabassum ki bijliyaan sajde tumhari raah mein karti hain kaikashaan duniya-e-husno-ishq ka tum hi shabaab ho chaudvin ka chand ho ... ---- Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai Ke jaise tujhko banaaya gaya hai mere liye - 2 Tu ab se pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin - 2 Tujhe zameen pe bulaaya gaya hai mere liye - 2 Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai Ke yeh badan yeh nigaahen meri amaanat hai - 2 Yeh gesuon ki ghani chhaaon hai meri khaatir Yeh hont aur yeh baahein meri amaanat hai - 2 Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai Ke jaise bajti hai shehnaaiyaan si raahon mein - 2 Suhaag raat hai, ghoonghat utha raha hoon main Simat rahi hai tu sharmaake apni baahon mein - 2 Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai Ke jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yunhi Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yunhi Main jaanta hoon ke tu gair hai magar yunhi - 2 Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai --- Tumako dekhaa to ye kayaal aayaa… zindagii dhuup tum ghanaa saayaa Tumako... Aaj phir dilane ek tamannaa kii - (2) Aaj phir dilako hamane samajhaayaa Zi.ndagii dhuup tum ghanaa saayaa... Tum chale jaaoge to soche.nge - (2) Hamane kyaa khoyaa, hamane kyaa paayaa Zi.ndagii dhuup tum ghanaa saayaa... Ham jise gunagunaa nahii.n sakate - (2) Vaqt ne aisaa giit kyuu.n gaayaa Zi.ndagii dhuup tum ghanaa saayaa... --- Ankhiyon ke jharokhon se maine dekha jo saanware Tum door nazar aaye badi door nazar aaye Band karke jharokhon ko zara baithee jo sochne Man mein tumhi muskaye man mein tumhi muskaye Ankhiyon ke jharokhon se Ek man tha mere paas woh ab khone laga hai Paakar tujhe hai mujhe kuchh hone laga hai Ek tere bharose pe sab baithee hoon bhool ke Yoon hi umar guzar jaye tere saath guzar jaye Ankhiyon ke jharokhon se... Jeeti hoon tujhe dekh ke marti hoon tumhi pe Tum ho jahan saajan meri duniya hai wahin pe Din raat dua maange mera man tere waaste Kabhi apni ummeedon ka kahin phool na murjhaye Ankhiyon ke jharokhon se... Maein jab se tere pyar ke rangon mein rangi hoon Jaagte hue soi nahin neendon mein jagi hoon Mere pyar bhare sapne kahin koi na chheen le Man soch ke ghabraye yahi soch ke ghabraye Ankhiyon ke jharokhon se... ---- La, la la la la la, la la la la la la la Tu tu hai vohi dil ne jisse apna kaha Tu hai jahan main hoon vahan Ab to yeh jeena tere bin hai saza O mil jaaye is tarah, do lehre jis tarah - 2 Phir ho na judaa, haan yeh vaada raha La la la la la, la la la la la Main aawaaz hoon to tu hai geet mera - 2 Jahan se niraala manmeet mera Mil jaaye is tarah, do lehre jis tarah O mil jaaye is tarah, do lehre jis tarah Phir ho na judaa, haan yeh vaada raha Kisi mod pe bhi na yeh saath toote Mere haath se tera daaman na chhoote Kabhi khwaab mein bhi tu mujhse na roothe Mere pyaar ki koi khushiyaan na loote Mil jaaye is tarah, do lehre jis tarah O mil jaaye is tarah, do lehre jis tarah Phir ho na judaa, haan yeh vaada raha Tujhe main jahan ki nazar se chura loon Kahin dil ke kone mein tujhko chhupa loon Kabhi zindagi mein pade mushkilein to Mujhe tu sambha le, tujhe main sambha loon O mil jaaye is tarah, do lehre jis tarah - 2 Phir ho na judaa, haan yeh vaada raha ----
seriously man she didn't! she used to PM me everyday for lyrics.. shit!! anyways, does any1 kno where i can get that likhe jo khat tujhe song?