Jeene ko ik umr

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by Ali Yawar, Aug 11, 2012.

  1. Ali Yawar

    Ali Yawar New Member

    heyy,here is another one....how is it...

    Dil to khush hai,lekin,aankh bhari ho jaise,
    Tera milna bhi koi dukh ki ghari ho jaise….

    Phir kaanp gaya dil,sham-e-tanhai ke baad,
    Saamne maut khari ho jaise…

    Aaj phir kahi hamne,isharon mein apne dil ki baat,
    Vo phir hans diye,kuch samjha hi nahi ho jaise..

    Subh-e-vaslat bhi kuch,yun,tanha guzri,
    Shab-e-hijran guzri hi nahi ho jaise..

    Log ab bhi kartein hain mujhse,tumhari baatein,
    Inki nazron mein,tu ab bhi meri ho jaise…

    Tum bhi nadaan ho ki dil se jeete hi nahi,
    Jeene ko ik umr pari ho jaise….
     
    1 person likes this.
  2. monica_decosta

    monica_decosta Active Member

    i liked it :)

    mujhe vo gana yaad aa gaya ...

    Koyi fariyaad tere dil mein dabi ho jaise
    Tune aankhon se koyi baat kahi ho jaise
    Jaagte jaagte ek umr kati ho jaise
    Jaagte jaagte ek umr kati ho jaise
    Jaan baaki baaki hai magar saas ruki ho jaise
     
  3. rickkkyrich

    rickkkyrich Guest

    Great lines.. Ali is on a roll... Keep posting!
     
  4. horsesmouth

    horsesmouth Active Member

    Dude, you're a fab gazal writer..
    cheers!
     
  5. Ali Yawar

    Ali Yawar New Member

    thanks horsey....
     
  6. Ali Yawar

    Ali Yawar New Member

    thanks rickky..these days I am writing a lot of ghazals...I will try to post all of them here...
     
  7. Ali Yawar

    Ali Yawar New Member

    Thanks..yes that ghazal is good...jagjeet singh has sung it very beautifully....I also liked the song....
     

Share This Page