Ajab- A hindi ghazal

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by Ali Yawar, Aug 1, 2012.

  1. Ali Yawar

    Ali Yawar New Member

    Hey,this is a hindi ghazal written by me.Tell me how is it..


    Ab ke mere shahar ki galiyan,kuch kuch badli- badli theen,
    Ujree galiyan khush khush theen aur mahlon-mahlon sog ajab
    Jeevan –geeton ki barkha mein , apna dukh bhi bhool gae,
    Ajab ye geeton ki maujein,ye hanste gaate log ajab
    Lene vala daani hai au’ data yhan bhikhari hai,
    Ajab ye rasmein uljhi-uljhi,honi ka sanjog ajab
    Bahar koi mara para hai mandir ki pahli seedhi par,
    Andar chappan bhog ki leela,bhagvan ka yah bhog ajab
    Daulat ki andhe lalach mein deenon ka rakt bhi choos liya
    Vaah re lalach ke bandon,ichcha ka yeh rog ajab.
     
  2. monica_decosta

    monica_decosta Active Member

    ye gazal app ne likhi to acchi hai par ye beech main kahin bhatak gayi .. may be im wrong :p
     
  3. horsesmouth

    horsesmouth Active Member

    I'm not sure if that's a gazal because it looks so like revolutionary poetry and the gazals we encounter in movies or performances are drastically different..
    I could be wrong.
    Its nice though...
     
  4. nandy0894

    nandy0894 New Member

    i llllllllllike it!!
     
  5. Ali Yawar

    Ali Yawar New Member

    Monica jee..Shayad aapko pata nhi hai ki ghazal aur nazm mein bahut zyada farq hota hai...they r very differnt....do u know that a ghazal do not have any name..it is known only by the name of "ghazal".That's because ghazals don't deal with a particular topic throughout the poem..nazms do that...in ghazal ,every sher(couplet) have a distinct meaning and an independent topic...that is the reason that writing traditional ghazals is very hard and good ghazal writers are thought of as very gud poets.However,nowadays most of the poets are breaking that bond and writing ghazals that deal with the same topic throughout it.So I think,that is why u r confused........ The true beauty of ghazal is in the fact that its every sher,sometimes in the case of gr8 writers ,every line(misra) have a distinct meaning....
     
  6. Ali Yawar

    Ali Yawar New Member

    Yeah,the popular ghazals r not like that but ghazal is just a verse form ,it needn't deal with a confined topic.... for eg. most popular hindi ghazal till date,written by dushyant kumar reads like this...

    Ho gayi hai peer parvat si pighalni chaahiye
    Is Himalay se koi Ganga nikalni chaahiye

    Aaj ye deewaar pardo ki tarah hilne lagi
    Shart lekin thi ke ye buniyaad hilni chaahiye

    Har sadak par har gali mein har nagar har gaanv mein
    Haath lahraate huye har laash chalni chaahiye

    Sirf hungaama khada karna mera maksad nahi
    Saari koshish hai ke ye soorat badalni chaahiye

    Mere seene mein nahi to tere seene mein sahi
    Ho kahin bhi aag lekin aag jalni chaahiye

    This ghazal has been used in many films and shows.Amir khan used some of the lines in satyamev jayte ads..
     

Share This Page