ab ki jo ..

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by nandy0894, Jun 23, 2012.

  1. nandy0894

    nandy0894 New Member

    ab ki jo bichhde to shayad milenge bss fir khwabo mein
    jaise milte hain sookhe murjhaye phool bhooli c kitabo mein..

    ab ki jo bichhde to shayad milenge bss fir khwabo mein ..
    jaise bujhe hue se angaare mila krte hain surkh tufaano mein..

    jaise beparvah bekadar kankad mila krte hain bhre talabo mein..

    ..

    aage se fir kabhi chaurahe prr d ikhe aap to guzar jaenge shayad yun he
    gire sookhe patte ka jaise vajood koi na poochta hai ..
    us patte ki he trah kuchal jaenge shayad aap humein yun he..

    ab ki jo bichde to shayad bhula diye jaenge hum adhoore nagme se
    kisi zamaane mein hum he rhe the jinhe aap Kalme sa yaad kia krte the

    hosh mein chahe pathhr bne prr yaad zaroor krenge tanha sailaabo mein
    ab ki jo bichhde to shayad milenge bss fir khwabo mein..
    jaise mila krte hain sookhe phool bhooli c kitabo mein ..
     
    1 person likes this.
  2. monica_decosta

    monica_decosta Active Member

    althouh u have expressed what u had to say but the line "abb ke bichade to shayad khaboon main mile.. jaise sookhe huee phool kitaboon main mile " is a copy... avoid picking lines ... u r lines are good :)
     
  3. rickkkyrich

    rickkkyrich Guest

    Loved it...
    "ab ki jo bichde to shayad bhula diye jaenge hum adhoore nagme se
    kisi zamaane mein hum he rhe the jinhe aap Kalme sa yaad kia krte the"

    Best lines...
     
  4. nandy0894

    nandy0894 New Member

    is a copy of?
     
  5. nandy0894

    nandy0894 New Member

    thank you :)
     
  6. monica_decosta

    monica_decosta Active Member

    Ahmed Faraz - a pakistani poet ... he wrote awesome poems and infact this one was sung by Mehendi hassan .... just read the lines the man wrote they were awesome ... urs also are cute and i dont discourage these kind of efforts they are essential .. we all stand on the shoulders of the legends ..nothing wrong in it ..cheers !!!

    Ab ke hum bichde to shaayad kabhi khwaabon mein mile
    Jis tarah sookhe huye phool kitaabon mein mile

    Dhoondh ujhraye huye logon mein wafa ke mot
    Ye khazaane tujhe mumkin hai kharabon mein mile

    Tu khuda hai na mera ishq fariston jaisa
    Dono insaan hain to kyon itne hijaabon mein mile

    Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
    Nasha badhta hai sharaabon mein jo shababon mein mile
     
  7. nandy0894

    nandy0894 New Member

    oops..!
    thats a bful thing..but sadly..i hadn't heard it.. so no point copying.. :)
     

Share This Page