Waqt hai kam aur yaha dil thakaa houa hai
Ba-deedar-e-yaar zaar dam aTkaa houa hai

Dastak-e-naseem-e-sahar ki aas hai bekaar
Barfaani samaan wahan par rukaa houa hai

Baad-e-gham se khauf hai shajar-e-jigar ko
Sabz pat.te hein magar jaD sukhaa houa hai

Unke shab-ba-khayr sune bin hum na soye
Subhah aaina kahe shakl murjhaa houa hai

Sabab-e-zulmat se hairaan houa ek patanga
Bazm-e-dil ka shamma kyu bujhaa houa hai

Bhuulna hai muhaal bulaana Mushkil unko
Girdaab main safeena-e-dil uljhaa houa hai


Ba-deedar-e-yaar : For a glimpse of my love
Zaar dam : Weak breath
Dastak-e-naseem-e-sahar : Knocking ( at door ) of cool morning breeze
Barfaani samaan : Winter season
Baad-e-gham : Wind of sorrow
Shajar-e-jigar : Tree of heart
Sabab-e-zulmat : Reason of darkness
Muhaal : Impossible

Amanush...